LatestMDCATSTUDENT ALERT

GUIDELINES & INSTRUCTIONS FOR MDCAT REPEATERS

MDCAT 2022

Assalam o alaikum

A Guide for repeaters.🌚

MDCAT ko ab 3 months ⏳ho jane lage hain time guzarty pata nai chalta.Jin logon ne repeat karne ka irada karna tha ab kar chuke hain.Almost tamam gov uni main admissions b close ho chuke hain😷.Is liye apne obtained marks har group main post karke pochne ke zarorat nai ke should I repeat mdcat.Ap ne faisla kia hua he bas fazool main flex mar rae hain😾.Is se behtar he ap prep karne ke liye tips mangen koi masla hota he to uske hawale se guidence lain🙂.

🟡🟡🟡🌚 Improvement Exams🌚🟡🟡🟡

🟨1.Ab sabse pehle to ap apna Fsc score check karain 560+ 550+ 570+ hain to zaror improve karain.Kuinke Fsc score jitna acha hoga merit banana utna he easy ho jaye ga apke liye.Even agar 580+ hain to b improvement ka paper dena chaiye agar kisi aik subj main kam hain ziada.Agar 3 subj main kam hain to beshak na dain.Our jo improvement ka chance avail kar chuke hain unhain shiad extra chance mil jaye Fedral board ne 4 chances wali policy introduce karaye he.Hope so Punjab boards b kara dain gain.

🟨2.Apne Fsc our matric score ko samne rakh ke andza lagain ke is saal ke merit ke hissab se apko at least kitna score chaiye tha mdcat main.Our koshih karain agle saal us se at least 5 6 no ziada ka hi target rakhain.

Example#1 kisi ke 1040 560 hain use at least 182 chaiye thay bds ke liye.

Example#2 Kisi ke 1010 575 hain Usse 179 chaiye.

Example#3 Kisi ke 1070 598 hain usse just 170 marks chaiyen.

🟠🟠🟠🌞 Routine🌞🟠🟠🟠

🟧3.Shuru shuru main bandy ka dil nai karta parhne ko aik dafa strat karna zara mushkil hota he.Aksar bachy ye soch ke ke abi bohat time he bad main karain ge start hi nai karte 😨.Our bad main pachtate hain jab unse syllabus cover nai hota💔😵.

🟧4.Roz halka phulka read karain jo chap apke fav hain unse start lain 🙂 adha adha chap kar ke karain lec lain notes banain.Enjoy karain parhty huay.Apka koi classfellow yan close friend b repeat kar ra he to uske sath milke study karain aik scedule ke mutabik.Is tarhan apka dil b laga rahe ga.Our aik dosre ko dekh ke healthy competition ki fiza b kiam rahe ge.

🟧5.Pehle aik scedule ke acording prep karain,phir aik jaga se mcqs ki practice karain

Jo mcq samjh na aye wo ETP main yan kisi our whatsapp group main post kar ke poch lain.Agar apko jo nahi aaty unhain aise hi chor dain ge to phir apka practice karne ka koi maqsad baki nahi bachta.

📚📚📚📚Recomended Books and Preparation .📚📚📚📚

🦠🧪BIOLOGY🧬🐛

🟢1.Bio main pmc har jaga se mcqs dalti he.Ap thaq jao ge lekin sources nai hatam hone.Ab iska ye matlab nahi ke ap paglon ki tarhan sare sources ko 100% cover karne ke koshih karain ye chez practically possible hi nahi he.

Lekin ap ne koshih karni he ke ap jitna possible ho utna cover kar lain.

PTB our Fedral abhi b core hi he 60-70% mcqs idhar se directly cover ho jain ge easily.

🟢Note🟢

Playstore pe aik app he Liberera Reader:e-book reader. Ptb our fedral se aik chap read karne ke bad kpk ki audio sun lain jahan new chez mille usse pause kar ke read kar lain.Is tarhan 1 hour se kam time main main kpk se b chap tayar ho jata he easily.

🟢In 2 ke bad KPK ka share ziada bara he.Ap Fedral+PTB ko achay se tayar karain our Kpk ko simply read karain.Ap dekhain ge ke kpk almost 80%-90%fedral se milti julti he our bas kahain kahain koi extra chez likhi hoti he yan fedral ko contradict kia hota he.

KPK our Fedral ki Bio bohat similar he.

Bas kpk main koi aisa point ya part jo fed main nahi usse note down kar lain fedral pe sari kpk karne ki zarorat nahi he bas aik dafa read kar ke new points extract kar lain.

🟢Is ke ilawa kuch cheda cheda topics A level,our baki boards se tayar kar lain last year mdcat ko dekhtay huay.For example#1 Virus wala chap balochistan our ncrt se.

For example#2 Enzymes main kuch

constants our formulae hain wo A level se.

🟢Iske ilawa kuch mcqs random websites se milte hain,Kuch american MCAT ke b hoty hain our kuch aise b jinke koi sense nahi banti.

MDCAT biology aik mixture ban kr reh gaya he.

🟢Try to focus on reading,obtaining new info and knowledge practice PMC sample papers and paid tests as much as you can and take them as a sample of what can come in the actual exam.MDCAT will resemble Piad tests,Leaked and 2020 Past Papers the most.

🟢Notes banain biology ke liye.Lectures ki utni zaraorat nahi he.

Note

🟢Ye sab kuch parhne ke bad b ap sare mcqs solve nahi kar sakte aise atay rahin ge jo in main se kahain b nahi thay.

⚛️🔥Physics⛈️🌌

🔵Biology ki tarhan phy b mixture hi he.Lekin biology jitna diverse nahi.PTB yan Fedral/KPK se apka 70-80% cover ho jata he kuch chaps indian websites se kar lain to easily apke 90-95% mcqs cover ho jain ge physics ke.

🔵Acedmy ke tests main physics sab se mushkil subject samjha jata he our he b due to calculations and complex formula derviation.

But acedmic tests are obsolete now.Physics main us type ke diagramtic,our lengthy questions nahi aaty na hi itna deeply conecpt check hota he.

🔵So acedmy ke tests main ap phy ke portion ke liye ziada pareshan na hoon.

Paid tets karain just our mdcat 2021 main jo aye huay haiw wo more than enogh practice hogi.Our kuch chapters ap neet,Toppr etc se prepare kar lain to physics ke achi hassi tayari ho jaye gi.

🔵🔵🔵Note.🔵🔵🔵

Software limitations ke waja se last year

Diagram walle,Graph walle,Table walle,Complex formulae walle koi questions nahi thay.Is liye unpe boaht ziada time waste na karain to behtar he.

⚗️👨‍🔬Chemistry.⚗️👨‍🔬

🟣Jis tarahn pehle kabi pmdc ke dor main bio main book lines aya karti theen is bari chemistry main same scene he.

PTB enogh he punjab ke students ke liye.Fedral se kuch halka phulka ho sakta he kuch aa jaye lekin mushkil he itna nahi aata.Our almost tamam mcqs ptb se easily cover ho jate hain.

🟣🟣🟣Note🟣🟣🟣

🟣Idar b software limitations ki waja se kisi b kisiam ka graph,table,diagram,structure,Chemical rex

our koi complex formula nahi aana.

🟣Simple lines ayain ge.Idar b acedmy ke tests bilkul different directions main le jate hain bachy ko ap ne basics ko strong rakhna he.Our practice b karni he.Baki ye phy our bio ke nisbat thora asan subj ban chuka he.

Practice ke liye ap pmc paid tests hi use karain to acha he.

📚📒English📚📒

English basic si aati he Sir Salman ul waheed ki book yan KETS use kar lain donon chalin ge sath main paid practice test karain.

🧠🤓Logical Reasoning 🧠🤓

Is ki tayari kisi b acedmy ki book se kar lain enogh he.

🔴🔴🔴🔴🔴Note🔴🔴🔴🔴🔴

1.⭕Our jinhon ne sath main uni join nahi karni wo koshih karain mdcat se 2 months kabal apni tayari 100% karne ke take bad main agar pmc koi change laye to wo usse manage kar lain.

1⭕Jin logon ne kisi university/college main admission le lia he wo Abi se tayari start kar dain our mdcat ke nazdeek koi symester freeze kara lena.

2⭕Jo log private mbbs ke sath mdcat repeat karne ka irada rakhty hain unke liye mashwara he ke abi classes lagne se pehle jitni tayari ho sakti he kar lain.Aik bar classes shuru ho gain to mbbs ke doran unahin bilkul b time nai milne walla.

Is liye abi 30-40 jitne b din hain in main wo sab chezain at least cover karain jo is bar unke weak reh gayi theen our wo topics jo pmc ne jinain core importance de hui he jese Virus,Reproduction,Cell,Animalia etc jese chapters.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Back to top button

Expert Mdcat